Mobile ki location kese track kre in hindi

Aaj me aapko ek aesi trick bata raha hu jiske baare me har ek Smart Phone rakhne wale Insaan ko pata hona chaiye, Kaise apne khoye hue Mobile ka pata lagaye Google me. Bhut baar hota hai ki hamara mobile kahi rha jata hai ya koi usko chura leta hai, uska pata kaise lagaye. Uska Pata lagana bhut Saral hai Bas Aap ko karna ye hai ki Computer par Google me Search Karo “Find My Phone”. Aap Google par apne Mobile ki location dekh sakte ho ki bo kaha hai or usme ring bhi baja sakte ho.

Chori kiye mobile phone ka pata kaise lagaye Google par

Iske Aalawa bhi bhut si Jaankari Hindi Me Help (HMH) par hai aap unko bhi jarur pade.

Mobile ki khojne ke liye in steps ko follow karo (Find My Phone)

#1. Sabse phele Google.com par jao fir usme type karo “Find My Phone” jesa aapko niche ki image me dikh raha hai.

Google me search karo find my phone

#2. Automatically Google par ek Map aa jayega. Ab aapko Apne us Gmail account me login karna hai jo aapne mobile me dala hai.

ab ek Google map khulega search me, usme sign in karo

#3. Jese hi Aap Sign in karoge Google aapke mobile ko search karne lageha

Google aapke mobile ki location ko search karegi

#4. Jese hi aapke Mobile ki location Google ko pata chalegi aapko Google Map par dikhne lagegi. Mobile ki jo location hogi uska ek area hoga 24 meter ka.

aapke mobile ki location google me dikhne lagegi

#5. Ab aap us jagha par jaa kar apne mobile ki ring baja sakte ho. Uske liye ring ki button par click karo.

mobile me ring bajane ke liye ring ki button par click karo

#6. Ab aapke mobile me ringtone bajne lagegi Full volume me or bo 5 minute tak bajegi.

aapke mobile ki ring bajne lagegi full volume me 5 minute ke liye

Achi baat ye hai ki agar aapka mobile silent bhi hai to bhi bo full volume me bajega.

FindMyPhone

Mobile ki location Pata karne ke liye ye function hona jaruri hai

  • Location ki jo service hai bo chalu hona chaiye aapke mobile me
  • Google App Install hona chaiye aapke mobile me or sabse latest version hona chaiye.
  • Mobile me Net chalu hona chaiye
  • Ye jo Mobile ko search karne ka function hai bo abhi Computer par hi karta hai. Aap kisi dusre mobile se nahi pata kar sakte apne mobile ki location ka.

Mobile Phone Ka Pata Kaise Lagaye Google Par | Find My Phone Video

Onilne Mobile Kaise recharge kare ye jaanne ke liye yaha click karo

Aapko agar or kuch bhi jaanna hai to Comment karke muje bataiye or agar aap ko iske aalawa bhi koi tarika hai to uske baare me Please muje batana naa bhule.

Internet ke jaankari Apne Facebook account par pane ke liye Page jarur like kare.

Agar aapko ye jaankari pasand aai ho to Apne Dosto se jarur share kare.